Zindagi Mein Do Minute Koi Mere Paas Na Baitha,
Orr Aaj Sab Mere Paas Baithe Jaa Rahe Thhe,
Koi Tohfa Na Mila Kisi Ka Aaj Tak Mujhe,
Orr Aaj Phool Hi Phool Diye Ja Rahe Thhe,
...
Taras Gaya Main Kisi Ke Hath Se Diye Ek Kapde Ko,
Orr Aaj Yun Naye Naye Kapde Odhaye Ja Rahe Thhe,
Do Kadam Sath Na Chalne Ko Tayaar Tha Koi,
Orr Aaj Kafila Banakar Sab Jaa Rahe Thhe,
Aaj Pata Chala Ke “Maut” Itni Hassin Hoti Hai,
Kambhakt “Hum” To Yuhi Jiye Ja Rahe Thhe.
Apnay haathon say yun chehray ko chupatay kyon ho?
Mujh say sharmatay ho to saamnay aatay kyon ho??
Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-wafa,
Pyaar kartay ho to phir pyaar chupatay kyon ho??
...
Ashq aankho mein meri dekh kay rotay kyon ho?
Dil bhar aaata hain to phir dil ko dukhatay kyon ho??
In say vaabasta hai jab mera muqaddar phir tum,
Meray shano say yeh zulf hatatay kyon ho??
Roz mar mar kay mujhay jeenay ko kehtay kyon ho?
Milnay aaatay ho to phir laut kay jaatay kyon ho??
Apnay haathon say yun chehray ko chupatay kyon ho?
Mujh say sharmatay ho to saamnay aatay kyon ho??
Ek Umar Bhar Ki Tanhai Mere Naseeb Karke.. Wo Gaye Baate Ajeeb Karke..
Wafa Ka Unhe Mein Kya Naam Du.. Khud Ho Gaye Hain Dur Mujhe Kareeb Karke..!!!
Ek samunder h jo mere kabu me h, or ek qatra h jo mujse sambhala ni jata...
Ek umar h jo bitani h unke bagair, or ek lamha h ki mjse guzara ni jata.........??!!!!
Unhe ye shikaayat hai hamse, ki hum har kisi ko dekh kar mushkurate hain,
Nasamajh hain wo kya jaane, Hame to har chehre me wahi nazar aate hain!!!


4 comments:
Superb bro, end, boht vdia,
Mujhe bhi sikhado please
Superb bro, end, boht vdia,
Mujhe bhi sikhado please
Nyc bro kuch poem maine bhi likha hu sirf googal par kaise kiya jata h
Ye kisne likha hai naam bataiye
Post a Comment